Mein kavitha hoon
-------------------
Shabdon mein rang bharti
Dilo mein umag bharti
Kabhi hasathi, to kabhi rulathi
Kabhi batati, to kabhi chupathi
Mein Kavitha hoon...
Shabdo ko dhage me phiroti
Aur chedti hoon main ek saaz
Ban jati hai jo har dil ki dhadkan
Aur har dhadkan ki aawaaz
Haan main kavitha hoon…
phere tune sur,jodi maine taal
kho gayi tujme is tarah, hua bura haal
Teri jhukti nazar ne teer e aashiqui mere dil pe maara
Ab marna to door, na jee sakon dobara
Koshish itni thi ki, tere dil ko jeet, tujse ek phool paon
Ab na mujhe thukrao, mere jhanaze par to ek phool chadao
khayalo me ek kohra sa cha jaata hai
jab dil ke darwaze par woh dastak deta jata hai
Khoya chain aur khoyi nindiya
Jab dekha tera noor aur teri pyaari bindiya
kabhi shaam se bat karti hu kabhi chand ka didar karti hu
Juda hokar bhi tujse har pal ikrar karti hu
chaha tujhe aur badnaam ho gaya
Tune ek jhalak jo dekha mera kaam tamam ho gaya
sagar ki gehrayi mein bhi hum dhoob kar aaye hain
par teri aankhon me jhak kar, hum gehrayi ko samaj paye hai
Kudrat ka karishma, ya koi ajeeb khel hai
Ishq khuda ka tohfa, do haseen dilon ka mel hai
kya batayen humne tere bin kaise kate yeh din aur kaise kati yeh raatein
Har lamhon me hame yaad aaye aap aur aap ki madhoosh batein
No comments:
Post a Comment